SEO Friendly Article Kaise Likhe iski sampurn jankari aapko is article me milegi is article ko dhyan se padhe jise ki aap seo friendly post likh sake.

aapko article ko rank karane ke kiye use seo friendly likhna hoga or seo friendly article likhna bahut hi aasan hai bas aapko kuchh tips and tricks ka use karna hai. to chaliye jante hai ki SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe

SEO Friendly Post Kaise Likhe

SEO ka pura nam hota hai Search Engine Optimization. SEO ki madad se aap apni website par achha khasa trafic la sakte hai. SEO Friendly Post ka matlab yahi hai ki user ko pasand aane vala article kyu ki google apne user ko best experience dena chahta hai.


जरुरी सुचना : यह वीडियो मशहूर youtuber  सतिशभाई का है जिनकी youtube चैनल का नाम satish k videoes है। इस वीडियो से या इसके कंटेंट से हमारा कोई लेना देना नहीं है।  आप लोगो को समझने में आसानी हो इस लिए हमने यह वीडियो अपनी पोस्ट में  रखा है। 

to chaliye janlete hai ki kaise ham apne article ko google search me first page par la sakte hai. matlab ki Blog Par Seo Friendly Post Kaise Likhe?

1. Post का Title

SEO ke liye sabse jaruri chij hota hai Post Ka Title or aapke title me aapka Focus Keyword jarur se hona chahiye.

agar aapke post ka title achha hua to aapka 40% SEO Complete ho jata hai.

Title को User Friendly कैसे बनाएं?

  • apne title me focuse keyword ka istemal kare
  • Long Tail Keyword ka Use kare Title me
  • aapka title esa hona chahiye ki user ko padhte hi samaj aaye ki aapne post me kya likha hai 
  • title me aap Years, Number jarur use kare
  • title likhte samay aap ek hi word ko dubara repeat na kare.

2. Post का Content

Content Is King  yah to aapne suna hi hoga. aap ka content jitna achha hoga utna hi aapka seo bhi achha hoga. kyu ki user aapke page par zitna zyada rukega aapka impresion bhi utna hi achha banega google ki nazarme bhi or user ki bhi.

aap ko hamesha user ko dhyan me rakhkar hi article likhna hai or article me jo mahatvapurn points hai use dark kare.

3. Competitor की Post को Analyze करें 


aap jis keyword par post likh rahe hai us keyword ko google me jakar pahle aap search kare or pahle 5 blog ko dhyan se Analyza kare.

aapko niche bataye gaye points ko dhyan me rakh kar Competitor ki post ko Analyze karna hai.

  • sabse pahle unki post kitne words ki hai vo dekhna hai
  • competitor ne apni post me kis tarah ki jankari di hai vah dekhe
  • unho ne user ko kese samjaya hai vah dekhna hai
  • unhone kitni images us ki hai vha post me vah dekhna hai
  • unhone kya points miss kiye hai yah dekhe
  • unhone key word ko kin kin jagah par place kiya hai yah bhi dekhe
  • kitne time keyword ko use kiya hai yah bhi dekhe
  • unhone title kese diya hai
  • meta description kese likha hai 
  • or ho sake to kitni backlinks banai hai yah bhi janle.
ab aapne apne competiters ka analisys kar liya ab aapko unse zyada points cover karne hai or onse zyada words ki post likhni hai or vo bhi aapke competitors be bahut achhi.

kul milakar aapko competitor ki post se zyada achhi post likhni hai.

4. Long आर्टिकल लिखे

aap hamesha long article hi likhe kyuki google long article zyada prafer karta hai kyu ki lambe article me zyada information hoti hai.
  • agar aap hindi me article likhte hai to 1000 - 2500 word ka article kikhe
  • agar aap English me article likhte hai to 2000 - 5000 word ka likhe.

Agar aap Long Article लिखते है तो उसके बहुत सारे फायदे हैं जैसे कि

  • Long Article me aap zyada keywords ko add kar sakte hai 
  • Long Article me aap zyada ads laga sakte hai
  • aapka article jitna bada hoga utna hi aapka bounce rat kam hoga

5. Image Alt Tag

SEO Optimize ke liye aapke article me image ka hona bahut jaruri hai. image ka istemal karke bhi site par bahut sara trafik la sakte hai. is ke liye aapko image ke Alt Tag me aapka targeted keyword dalna hai jo ki aapke article se relavent hona chahiye


Example : 
       
agar aapka keyword "image seo kya hai"  hai to aapko Image ke Alt Text me "image seo kya hai"  likhna hai jisse ki google ko pata chalega ki aapki yah image kis bare me hai.

Aap Image ke Alt text me apna Focus Keyword hi use kare.

NOTE 

aap jo bhi image apni post me use kare vah Copyright na ho. kyu ki isse aapki ranking badhe na badhe aapki site ban zarur ho zayegi. iske liye aap niche di gai sites par se bilkul free me stock images download karke use kar sakte hai. 

me spacialy aapko sujest karta hu ki aap stock images ko bhi thoda modify karke use kare to zyada achha rahega.

copyright free images yaha se Download kare :

6. Keywords in Hindi

zyadatar bloggers ko keyword kya hai or uska upyog kya hai or vah post ke liye kitne zaruri hai uske bareme pata hi nahi hota hai. aap jo bhi chije google me search karte hai use keyword kahte hai. jese ki aapne google me likha ki "SEO Friendly Article Kaise Likhe 2021" to yah aapka key word hai.

Keywords Two Types ke hote hai.
  1.  Short Tail Keyword
  2.  Long Tail Keyword
Ab aapko yah Dono type ke keywords kese use karne hai vo samaj te hai

Short Tail Keyword : "Article Kaise Likhe"
Long Tail Keyword : "SEO Friendly Article Kaise Likhe 2021"

aapne Example me dekha ki Long Tail Keyword me short tail keyword aa jata hai. is liye hame apne article me hamesha longtail keywords ko istemal karna hai jisse ki hamare short tail keywords apne aap rank ho.

to aapko hamesha long tail keywords hi use karene hai.

7. Post में Keyword का इस्तेमाल करे

aap apni post ke first or last paragraph me apna targeted focus keyword ka istemal jarur kare lekin aap keywords ko natural tarike se hi istemal kare. example ke liye aap meri is post ke first or last post ko dekh sakte hai ki mene usme mere targeted focus keyword ka istemal kiya hai or vo bhi natural tarike se

yad rakhe ki aap apni post me kam se kam 2-4 hi keywords ka istemal kare agar aap jyada keyword ka istemal karte hai to google aapko penalty laga dega aapke blog par or aapki post kabhi rank nahi hogi.

8. Article ka Structure banaye

aapko Article ka Structure banana hai jisme aapko yah decide karna hai ki post ka Title kya hoga, Heading kya hoga, SubHeading kya hoga, Description kya hogi, Keyword ko post me kaha kaha Use karna hai etc.

iske bad aapko H1, H2, H3 or H4 Tag ka bahut hi achha Structure banana hai.

9. Heading and SubHeading

Post Me Heading Or subheading ka istemal karna bahut hi jaruri hai aapki post ka title H1 Heading hota hai or H1 heading ek Article me ek hi bar istemal karna chahiye. is liye aap apni post me kahi bhi h1 heading ka use nahi karenge.

agar aap blogger istemal karte hai to aapka major heading ko kabhi bhi istemal nahi karna only heading ka istemal kare jo ki H2 hota hai. 

aap H2, H3, H4, H5, H6 tak Subheading Use kar sakte hai kyu ki Heading or Subheading ka istemal karna ek SEO ka hi part  hota hai.

Subheading me aap apne post ke Related Keyword ka jarur istemal kare

Heading or Subheading ka Structure hamesha - H1>H2>H3>H4>H5>H6> hota hai.

10. apni post me Internal Link Add 

Internal Link ka matlab hota hai ki aap apni post me apnihi website ke kisi dustepost ki Link Add kar sakte hai or ise SEO friendly mana jata hai or Internal Link se aapki Bounce Rate bhi kam hogi.

aap Internal Link me usi post ki Link ko Add kare jo aapke article ke Topic se Related ho.

Example :

"SEO Friendly Blog Post kaise likhe " ese topic par likh rahe hai toaap apne article ke bich me  SEO se Related Post ke link de sakte hai jese ki ham ne kiya hai. or isse aapki post ki Quality bhi badhegi Post or aapki dusri post par bhi trafic jayega sath hi user ko bhi bahut knowledge milega. 

or samaj lijiye ki user khush hota hai to google maherban hota hai.

11. Post Me External Link Add करे


External Link ka matlab hota hai ki kisi dusri website ki link ko apne post me add karna. kya aap jante hai ki isse bhi aapki impretion badhti hai. jisme outbond links(external links) hoti hai ese article ko google sarv gun sampann manta hai. 

Example : 

manlijiye ki aap blogger par blog kaise banaye is vishay par article likh rahe hai to aap apne users ko blogger.com ke bareme batayenge to aapko vaha blogger website ka link jarur se lagana hai. isse aapke user ko bhi kafi saralta hoti hai or google bhi manta hai ki aap oro se achha samjate ho.

12. User Intent Find kare

User Intent Find ka matlab hota hai ki User jo Search karke aapke article par aaya hai uske bareme puri jankari aapke article me honi chahiye agar nahi hogi to User aapke article par se Back kar dega  or aapki Website ki Bounce Rate bhi badh jayegi.

Example :

agar koi User Google par "CryptoCurrency" yah Search karke aapki post par aata hai to User ko CryptoCurrency par puri jankari milni chahiye jese ki..
  • CryptoCurrency kya hai?
  • CryptoCurrency kitne prakar ki hoti hai?
  • CryptoCurrency kaise kharide?
  • CryptoCurrency kaise bache?
  • CryptoCurrency kharidna sahi hai ya galat

13. Number और Bullet Pin का use करें

aap apni post me kisi list ko de rahe hai to aap Number or Bullet Pin ka istemal kare jisse article Use ko padhne me achha lage.

14. छोटे छोटे Paragraph में Article लिखें 

aap apna article chhote chhote  Paragraph me hi likhe kyoki bahut sare User Long Paragraph padhna pasand nahi karte or

zyadatar Visit To Website par Mobile sehi aate hai or Mobile par Long article padhne me pareshani hoti hai.

chhote Paragraph ka matlab aap 3-4 Sentence ka ek Paragraph likhe.

जरूर पढ़े : 

15. Permalink (URL) kaisa banaye

Permalink (URL) SEO ke liye bahut hi zaruri hai jo article ko Search Engine friendly Optimize karta hai aap apne post ke URL me Focus Keyword ka istemal kare

to chaliye jante hai ki अपनी post के URL को SEO Friendly URL कैसे बनाएं

Example :

SEO Friendly URL
  • www.website.com/seo-kya-hai

Not SEO Friendly URL
  • www.website.com/seo-kya-hai-seo-kaise-karte-hai
apne parmalink me keyword ko - - - laga kar likhte hai jese ki hamne upar ke example me bataya. or friends parmalink(URL) me hamesha short tail keyword hi use kare. ek se zyada key word na dale jese ki secound example me dikhaya.

16. Keyword Proximity High रखे

Keyword Proximity kya hota hai?pahle yah samajte hai ?
Keyword Proximity use kahte hai jo do keyword ke bich me aata hai. 

हम इसे Example के रूप में समझते हैं

Example 1 : 

Network Marketing or Marketing

taha par do Keyword hai
  1. Network Marketing
  2. Marketing

or in dono keywords ke bich me or है

isi or ke karan do Keyword alag hue or ise Keyword Proximity kahte hai.

or ese Keyword ko Low Keyword kahte hai.

 Example 2 :

Network Marketing

यहां पर भी दो ही Keyword है
  1.  Network Marketing
  2.  Marketing

lekin in dono Keyword ke bich me koi or nahi hai.

or ise High Keyword kahte hai.

or aapko Example 2 me bataye gaye Keyword ke jaise hi Keyword ka Use karna hai jisse aapke zyada se zyada Keyword Rank hoge or isse aapki post par zyada trafic aayega.

17. LSI Keyword Find for Article

LSI ka matlab hota hai ki Latent Semantic Indexing. LSI Keyword ko ham aasan bhasha me samje to aapka jo article hai vo sirf aapke Targeted Keyword par hi Rank nahi hota vah uske sath or bhi bahut sare Keyword par Rank hota hai or isse aapko Traffic bhi bahut zyada milta hai apni post par.

LSI Keyword ko ham aasan bhasha me samje to aap jo keyword ko target karke content likhte hai usse related bhut se key words hote hai.

LSI Keyword को Find कैसे करते हैं?

ham LSI Keyword ko 2 tarike se Find kar sakte hai.
  1.  Google
  2.  LSI Graph Tools
I. Google

aap Google par jab bhi koi Topic Search karte hai to uske related bahut sare Keywords aapko search box me dikhai dete hai. 

Ab ise Example ke rup me samajte hai.

Example : 

jaise ki mene yaha "Paise Kaise Kamaye Search" kiya to niche aap Image me dekh sakte hai ki usse Related bahut sare Keyword aapko dikhai denge.

II. LSI Graph Tools

aap LSI Graph Tools ki madad se bhi LSI Keyword ko Find kar sakte hai jaise ki aap Image me dekh sakte hai 

jaise mene yah "Paise Kaise Kamaye Search" kiya to niche aap Image me dekh sakte hai ki usse Related bahut sare Keyword aapko dikhai denge.

ham in dono tariko ka istemal karke apne Focus Keyword ke Related bahut sare LSI Keyword ko Find kar sakte hai.

खास बात

lekin aapko sabhi Keyword apni post me Use nahi karne hai unme se 2-3 Keyword ko hi Use karna hai.

18. Focus or LSI Keywords ko Post melikhe

aapka jo Focus or LSI Keyword hai usko post me Use kare lekin Keyword Stuffing na kare
aap Focus or LSI Keywords apni post ke Paragraph, Heading or SubHeading me Add kare 
Number or Bullet Pin ka istemal kare

19. Keyword Stuffing na kare

Keyword Stuffing ka matlab hota hai ki aap apne article me bahut sare Keyword ko Use karte ho.

aapko kabhi bhi Keyword Stuffing nahi karni chahiye kyuki isse aapke article ki Rank kam hoti hai or vo Google Search me kabhi nahi aata hai.

20. 1 se 3 Italic Keyword use kare

aap 1 se 3 Focus Keyword koaap Italics kar dijiye isse aapke aarticle me bahut fark padega orkhas bat ki aap apne post ko Rank karane ke liye ek hi Word ko bar bar Use na kare kyuki is se aapka article Useless lagega.

21.  Meta Description (Blog ka‌ Description)

jab aap Post ko Search Engine me Search karte hai tab aapko post ke Title ke niche kuchh Words dikhai denge vo Blog ka Meta Description hota hai. or aapka Description 100-150 word ka hona chahiye koi bhi post Search Engine me Meta Description ki madad se bhi Show hoti hai

Blog ke Description me aapne jo Heading Or Subheading me jo Keyword ko Use kiye ho unhe bhi aap add kar sakte hai

Meta Description ke dvara bhi aap Google Or User ko bata sakte hai ki aapne post me kon kon se topic par likha hai.

22. Grammar Mistakes na kare

aap apne article me Spelling Mistakes na kare or dusri bat

aap apne article me Grammar Mistakes na kare kyo ki vah SEO par bahut impact karta hai aap Grammar Mistakes ko dur karne ke liye Grammarly ka istemal kar sakte hai aap ise Chrome ya anya Browser ke Extension ke rup me istemal kar sakte hai.

or dusri bat aap jab article ko WordPress ya Blogger par jab likhte hai to aapke Spelling Mistakes vale words ko Red Colour se Underline karke bata deta hai or us word par click karke use sahi kar sakte hai.

23. Multimedia ka Use kare

Multimedia ka matlab hota hai ki aap apni post me Image, Screenshot, Video, GIF, Infographic ka istemal kare or isse User ko samajne me aasani hogi.

or Multimedia ka use karne vale article ko bahut hi informative mana jata hai. or ese article se  aap user ka trust bhi badha sakte hai.dhyan rakhe ki aapki writing se zyada aapki media files na ho.

24. Social Media Sharing

sabhi Bloggers post Publish karne ke bad Social Media par Share karte hi hai or Post ko Social Media par zarur Share karna chahiye or 

Post ko Social par Share karne ka matlab ki aap apni post ka Off Page SEO kar rahe hai or

dusri bat Google Social Signal ko bahut hi mahatvapurn manta hai is liye Post ko Social Media par jarur Share karna chahiye.

25. Article Update करते रहो

article ko samay samay par Update karte rahe or unme nayi jankari add karte rahe jisse aapki ranking impruve hogi.

har mahine apne articles ko update karna best practice mana jata hai.

26. kisi bhi dharm ya gyati ke bare me na likhe
 
aap koi bhi article likh rahe ho jisme ki dharm ya gyati ki bat hai to aap kisi or dharm ya gyati ki bareme kabhi bhi galat na kahe.

man lijiye ki aap kisi actor ke bareme likh rahe hai to kabhi bhi unki gyati ya dharm ke bareme na likhe yah ek sunsetional conten ho sakta hai . jisse ki aapka blog parmenatly bann ho sakta hai.

27. aapki audiyance par focuse kare

aap har roz apni audiance ko observe kare or aapka konsa article unhe pasand aaraha hai vah dekhe or vese hi us topic se related contant likh kar us article me internal linking kare.

or agar aapki audiance me 85% - 90%  womens hai to aap womens ko target karke aapna article banaiye or agar mens hai to men ko target karke blog banaye.

28. aapne visitors ko comment kar ne ke liye uksaye

aap apne article me koi questation puch sakte hai ya fir kisi offer ke bareme bhi bata sakte hai jisse ki users aapke blog par zyada comment kare .

or ham aapko bata de ko comments se bhi aapki bahut achhi impration banti hai.

29. aapka last peragraph ese likhe

ho sake to apni post ka sar likhe. or apne visitors ka aabhar vyakt karte huye unse aapne blog ko sabscibe karne ko bhi kah sakte hai ya. aapke dusre articles ki link de.  

hamesha apne aakhri peragraph me aapka targeted keyword dale or thoda apna branding bhi karna chahiye.

जरूर पढ़े : 

1 टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

और नया पुराने