namashkar friends aapka swagat hai. aaj ka hamara topic hai Blog Kaise banaye In 2021. aaj me aapko iske bareme puri jankari pradan karuga. agar aap bhi janna chahte ho blog kaise Banaye aur paise kaise kamaye? to aap is article ko dhyan se padhe or mere bataye gaye steps follow kare. aaj kal internet bahut hi sasta ho gaya hai or iske chalte har banda online pese kamana chahta hai. 

peso ki bhukh kise nahi hoti har kisi ko pesa chahiye lekin is ke liye mahenat to karni hi padegi. aap koi job kar rahe ho ya fir aap youtuber ho ya blogger ho mahenat to karni hi hogi. me pichhle 4 sal se online pese kama raha hu.

or mera sabse best income ka source hai blogging ji ha dosto ab aapko yah saval hoga ki fir me blogspot ki site par kyu work kar raha hu to me aapko bata du ki yah blog mene gyan dene ke liye banaya hai pese kamane ke liye nahi.

bahut se logo ke manme ek saval hota hai ki blogging karne ke liye technicle knowledge ki zarurat hoti hai. to me kahuga ki blogging karne ke liye koi technicle skill ki zarurat nahi hai.

FREE Blog kaise Banaye In 2020?

chaliye ab me aapko batata hu ki aap free Blog kaise Banaye Aur Paise Kaise Kamaye? yani ki agar aapke pass bilkul bhi investment nahi hai aap Rs.00 me apna ek blog bana kar online pese kamana chahte ho to aaj iske bareme detail me jankari dunga. 

sabse pahle aapko yah sikhna hoga Blogger Par Free Blog Kaise Banaye? kyoki blogger hi ek matr esa platform hai jispar free me blog bana kar google ke zariye online pesa kama sakte hai.

                

NOTE : is blog par dikhai gai video Blogging field me Famous youtuber webbiest ki hai              yah sirf education perpose se di hai. hamari website se unka koi len den nahi hai

                 

Blogger.com google ka hi ek product hai jaha par aap bilkul free me apna blog bana sakte hai or article dal sakte ho. ek bar aapka blog achhe se setup ho jay uske bad aap google adsense ke zariye pesa kama sakte hai.

Blogger Par Free Blog Kaise Banaye और पैसा कैसे कमाए? 

1. blogging ke liye Blogger.com or Wordpress.org sabse Best platform  mane jate hai. world me sabse zyada blogs wordpress par bane hai or Blogger par. aaj ham blogger par blog banana sikhenge.

2. sabse pahle apne mobile ya fir computer me www.blogspot.com ya fir www.blogger.com open karna hai.

3. iske bad blogger par apna blog banane ke liye  aapko ek google account ki zarurat padegi aapko apne google account ke zariye blogger.com par Login karna hai.

4. aapke samne ek option aayega Choose A Name of your blog- to ab aapko yaha par jo bhi aap apne blog website ka nam rakhna chahte ho vah aapko dalna hai. agar aap apne blog ko kisi keyword par rank karvana chahte ho to us keyword ka istemal karna hai.


5. iske bad aapse puchha jayega ki aap apne blog ka address kya rakhna chahte ho. yani ki ab aapko apne blog ka url banana hoga jis tarike se aapne apne blog ka nam select kiya usi tarike se aapko apne blog ka address bhi dalna hoga.


6. ab aap next ke button par click karoge to aapse puchha jayega ki aap apna display name kya rakhna chahte ho.

 yani ki jab aap apne blog par article daloge to us samay par logo ke samne aapka kya nam jana chahiye to aapko vahi nam yaha par dalna hoga is nam ko aap aage jake badal bhi sakte ho.

in sabhi steps ko follow karke aapka blog taiyar ho jayega abhi yaha par mene jitni bhi information di usko aap badme settings ke andar ja kar badal sakte hai.to bas isi tarike se aap blogger.com par apna blog bana sakte ho.

 Mobile se blog kaise banaye?

agar aapke pass laptop ya fir computer nahi hai or sirf mobile hai to chaliye jante hai ki mobile se kese blog banate hai ya Mobile se blog kaise banaye? to chaliye iske bareme bhi me aapko sari jankari de deta hu ki sirf apne mobile ka istemal karke blog banakar aap pesa kis tarah se kama sakte hai.



mobile se blog banane ke liye ya fir mobile se blogging karne ke liye sabse saral or sabse bahetarin tin tarike hai. 
  1. sabse pahle apne mobile ka browser open kare.
  2. ab aapko apne browser ko desctop mode me open karna hai iske liye browser ke right side me tin dot dikhenge us par aapko click karna hai. or vaha par desktop mode ka option milega us par aapko click karna hai.
  3.  ab vahi prakriya aapko chalu karni hai aapko www.blogger.com par jana hai or jesa mene upar bataya un sabhi steps ko aapko follow karna hai.
  4. jab aap apne mobile me Desktop Mode kar ke kisi bhi website ko open karoge to vah laptop ya computer ki tarah hi work karegi

मोबाइल में Blog को कैसे Manage करें?

agar aapne apne mobile ka use karke blogger par blog bana liya hai or ab aapko manage karne me problem aarahi hai to chaliye uske bareme bhi bat kar lete hai.

mobile phone ka istemal karke blog ko menage karne ke do tarike hai jinse ki aap aasani se blog likh sakte ho or sath hi apne blog ki template ko change bhi kar sakte ho.

पहला तरीका

Blogger.com ne yani ki google ne apne mobile users ke liye apna ek mobile application bhi banaya hai jisko download karke aap apne mobile phone me apne blog ko menage kar sakte ho.

yah app aapko play stor par mil jayega ya fir aap hamare diye gaye link se bhi download kar sakte hai jo ki playstore ki hi link hai. or blogger app ka istemal karke aap bahut hi aasani se apne blog ko menage kar sakte hai.

दूसरा तरीका

agar aap Blogger ka mobile application download karna nahi chahte to aap apne mobile me bar-bar blogger.com ki website par jakar apne blog ko menage kar sakte ho yaha par aapko har bar blogger ki website ko Desktop Mode me open karna hoga.

zyada zankari ke liye diya gaya youtube video play kare.

Blog Banane ke bad paise kaise kamaye?

is article ko padhkar aapne ye to jankliya ki blog kese banate hai lekin ab me aapko batata hu ki  Blog Se Paisa Kaise Kamaye? kyuki zyadatar log pese kamane ke liye hi blog banate hai to chaliye is par bhi thoda prakash dalte hai.

 अपने Blog से पैसा कमाने के बहुत सारे तरीके होते हैं

  1. Blog par Advertisement laga kar pesa kamaye
  2. Paid Post  dal kar pesa kamana.
  3. Affiliate Marketing ke zariye pese kamaye.
iske alava bhi bahut sare tarike hote hai lekin yah tin tarike bahut zyada popular or kargar tarike hai.

agar aap apne blogspot.com ke blog se paise kamana chahte hai to iske liye aapko apne blog par rozana kam karna hoga article dalne hoge or jab apne blog par visitor aane start ho jayege to iske bad aap google ke ads laga kar paise kama sakte hai.

adsense ki ads bahut achha tarika hai. lekin google adsense ki ads apne blog me lagane ke liye goole ki kuchh turms and condition hoti hai jise aap full fill karte hai to aapko uska approval mil jayega.

Google AdSense approval ke liye apne blog me itni chize kare :

  1. Blog par kam se kam 20 article dale vo bhi 1000 words se zyada ke.
  2. Apne blog Me Adsense Friendly template/theme ka use kare.
  3. copyrighted content/material ka istemal na kare.
  4. Black hat SEO na kare.
  5. About us, contact us, Privacy Policy or Terms &condition  page hone chahiye.
  6. jab bhi aap adsense ke liye apply kare to apni theme ya fir coding me koi chhed chhad na kare isse google ko lagega ki aapki site “under construction” me hai or aapka account disapprove hone ke chanses rahte hai.
  7. google adsense ke code ko sahi jagah place kare </Head> ke bilkul upar.
  8. agar aapka pahle se hi google adsense account hai to dusre account se apply na kare is se aapki site disapprove ho sakti hai.
  9. aapki blog website me clear navigation system honi chahiye. ho sake to do menu bar banaye ek topnav and secondury menu.
  10. apne blog par kabhi bhi fack trafic na laye.
  11. Hacking, Adult or malwar se related contant na dale.

agar aap upar batai gai sabhi chijo ko follow karte hai to bahut hi aasani se aapka blog monetize ho jayega.

अपने Blog को Google AdSense से कैसे जोड़े?

ab aapne yah to jan liya ki blog par ads laga kar pese kama sakte hai. lekin aapko yah nahi pata hoga ki aap kis tarike se apne blog ko google adsense se jod sakte ho.yani ki blogger.com ke blog ko kaise google adsense se joda jata hai.

1. sabse pahle aapko blogger.com ke dashbord par jana hai. vaha par aapko left said me ek Earning ka option dekhne ko milega.

2. us earning tab par aapko click karna hai jab aap click karoge to vahapar aapke samne option aayega "create google account" bas vaha par aapko google adsense ka account banana hai.

3. iske bad aapko google adsense ki taraf se ek code diya jayega us code koaapko apni website me theme section me Edit Html me ja kar Head tag ke niche dalna hoga. 

4.  Ab aapko thoda sa wait karna hoga yaha par google adsense ki team apka blog check karegi agar aapne achha content dala hoga to apko approvel mil jayega or jab aapko appruval mil jayega to aap apne blog par ads laga sakte ho or pese kamana shuru kar sakte ho. 

Blog को Professional Customize कैसे करें?

blogger par jo blog template by defult hota hai vah bahut hi bekar dikhta hai to ab apne blog ko ek dam profational look kese de sakte hai uske bareme bat karte hai. 

apne blog ko profational customize karne ke liye aapko apne blog or website ke liye ek badhiya theme or template lagana hoga.

Blog के लिए Premium Template कहां से Download करें?

niche mene kuchh websites ki link di he jaha se aap apne blog ke liye profational template bilkul free me download kar sakte hai sath hi unke premium version bhi mil jayenge jisse ki aap or bhi zyada customization kar sakte hai.

NOTE : dosto hamne jin websites ki link di hai vah 100%  safe hai. lekin agar aap thirdparty websites se theme download karte hai to aapki site ko nuksan bhi ho sakta hai.

yah kuchh platforms hai jaha se aap bilkul free me apni man pasand theme download kar sakte hai. ab aapne template download kar liye chaliye jante hai ki kaise aap in template ko apne blog par upload karoge.

blogger Blog पर Template Upload कैसे करें?

  • sabse pahle Blogger Dashboard me login kare
  • yaha par aapko ek Theme ka Option milega uspar jaye
  • yaha par aapko Backup And Restore ka option milega us par jaye.
  •  yaha par aapne jo template ko download kiya use upload kare. 
profational Customize karne ke liye aapko Blog Dashboard me Layout ka ek option dikhega. us par aapko click karna hai or yaha par aap tarah tarah ke gedgets laga sakte ho or apne blog ko or bhi zyada sundar bana sakte ho. 

Blog kaise Banaye सीख लिया होगा?

dosto me ummid karta hu ki aapke sare dauts dur ho gaye hoge 2021 me blogging ko carier banana ek bahut achha vichar hai. lekin dosto iske sath aapko mahenat karni hai or dhiraj bhi rakhni hai.


kyuki pahle din se kisi ki site par trafic nahi aata kyu ki jab ham nai site banate hai to google ko trust nahi hota ki hamari site par achha content hai or sath hi regular update hone vala blog hai ya nahi. 


to dosto aapko 2 se 3 mahina sirf achhe achhe post dalne hai or apne users ko best experience dena hai.  or ab aapko backlinks banane hai or tisre mahine aapko adsense ke liye apply karna hai.


ummid karte hai aap ek bahut hi achhe blogger banoge or hamse bhi achha knowledge doge. koi saval ho to comment jarur se karna.

1 टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

और नया पुराने